Kya tum vo shaam ho
Jisme dhal jaane ka mann kre.
Kya tum vo khwaab ho
Jisme kho jaane ka mann kre.
Kya tum vo dhaara ho
Jisme beh jaane ka mann kre.
Kya tum vo shama ho
Jisme doob jaane ka mann kre.
Kya tum vo raat ho
Jisme so jaane ka mann kre.
Kya tum vo pyaar ho
Jisme padd jaane ka mann kre.
Aur kya tum hi vo jahan ho
Jisme jee jaane ka mann kre.
Write to Author
Be First to Comment