Me bhi nahi badla, wo bhi nahi badli
Me thehra jara sa pagla, wo bhi kaha kam pagli
Me bhi nahi barsa, wo bhi shayad nahi tarsi
Iss or hain pyase hum, wo bhi nahi May se kam
Mere ehsas ke ujaale me, wo bhi nahi Tam se kam
Na maine kabhi kuch puchha, na usne kabhi kuch kaha
Aashaon ki kashti par, Intezar ke chappu hain
Khatke hai jahan jyada, hum bhi wahin atke hai
Baharon ke mausam me, ek patjhar ki rut jo aai
Na mujh me main raha, na khud me wo rahi
Main bhi nahi badla, wo bhi nahi badli
#####
Write to Author
Be First to Comment