Ek sham beeti hui wo aalam guzre hue
Kuch haadse dhundle hai ab
Kuch naam ab yaad na rahe
Kitaabe hai chehro me lipte kayi
Par panno me ab koi apna nahi
Patange toh behisaab hai takiye tale
Kuch zor inme hai ab baaki nahi
Sitam sehna bhi sikh liya hai waqt se
Kagazo ki thi jo kashtiya
Behaq hokar humse wo doobti rahi
Muskurahato ka bazaar tha waha
Hasi ab wo rupayyo me milti nahi
Daur badla,Insaan badle
Bas bachpan ye badla nahi!
Write to Author
Be First to Comment